Main Sochtaa tha .....
Meray kamray mein itni ghutan see kyon hai
Aakhir meri aankhon mein itni jalan see kyon hai
is ghar kee chaar-deevaari mein sabhi kuchh to hai
Par phir bhee meray man mein ik chubhan see kyon hai
Phir achaanak ik khyaal aaya
aur mainne uth kay dekha
ki meray ghar ki sub khidkiyaan -
Sub darvaajay thay band
khidkiyon kay sheeshon mein say
baahar jo dikhtaa thaa
Vo achchhaa nahin lagtaa thaa
kyonki un sheeshon par chadhay thay rang
Aur un rangeen sheeshon mein say
jab main baahar dekhta thaa
to sub dhundhlaa sa lagtaa thaa
kuchh bhee saaf nahin dikhtaa thaa
kuchh bhee achchhaa nahin lagtaa thaa
is liye mainay -
baahar nikalnaa hee chhod diyaa
duniya kya hai - kaisee hai
ye deknaa bhee chhod diyaa
Main ghar kee chaar-deevaaree mein hee
qaid ho kay reh gayaa
Bus main, aur meraa ghar achchha hai -
Aham kee is bhaavnaa mein bandh kay reh gayaa
Sankeeranta kee oonchi neechi lehron par itaraataa huaa -
Manzil say bahut door kaheen -
anjaanay mein beh gayaa
lekin ek din -
achaanak -
Meray kaanon mein ek aavaaz aayi
Man kay daravaajay par
jaisay svayam Prabhu nay dastak dee -
aur ye baat samajhaayi
ki sub kuchh - aur sabhi ko -
hameshaa in rangeen sheeshon mein say mat dekho
Duniya itni buri nahin hai
Ghar say baahar zaraa nikal kar dekho
Pehlay to main sehmaa - kuchh daraa
lekin phir himmat kar kay ik khidkee ko kholaa
phir dartay dartay aahistaa say darvaajaa kholaa
Achaanak taazi havaa kaa ik jhonkaa andar aayaa
aur mera haath pakad kay mujhay baahar kheech laaya
Baahar nikal kay dekhaa - to ye pataa chalaa
ki main samajhtaa thaa jaisi -
Duniya vaisee hai nahin
har taraf hee vair virodh aur nafarat ho
Baat asal mein aisee hai nahin
Haan -
kaheen kaheen nafarat kay sholay uthtay rehtay hain
Mazahab kay chand netaa -
apnay swaarth kee khaatir
Bholay bhaalay logon ko behkaanay kee khaatir
Aqsar apnee taqreeron mein zehar ugaltay rehtay hain
Sun kay jinko logon kay vichaar badaltay rehtay hain
lekin phir bhee -
Har banday kay dil mein vair nahin hai
dengay prem - to prem milegaa
Sub apnay hain - koyi gair nahin hai
Tab say mainay apnay ghar kee
Sub khidkiyaan -
Sub darvaajay khol diye
Sheeshon par jo rang chadhay thay
Vo saaray rang utaaray - Parday khol diye
Taazee hawaa kay aanay say
Ab ghar kay andar ghutan nahin hai
Rang nahin hai sheeshon par
to aankhon mein bhee jalan nahin hai
Andar baahar sub achchha hai
Man mein ab koyi chubhan nahin hai
Aur aaj samajh mein aayaa hai -
Jeevan kaa bhaid ye paayaa hai -
ki khulay aasmaan see jab ho jaati hai Drishti !
'Rajan' sundar ho jaatee hai saaree Srishti !!
'Rajan Sachdeva'

Saadi Dosti hai dosta savereyaan de naal
ReplyDeleteSaadaa vair nahin koi vi hanereyaan de naal
😄