Sunday, August 26, 2018

Phone ka Bill (Hindi story in Roman script)

Ek sajjan shaam ko ghar aaye to dekha ki unkee table par is maheenay ka phone ka bill pada tha. 
Utha kar dekha to bahut hairaan huye. is maheenay ka bill pichhlay maheenon ke bil say bahut zyaada tha. 
ye jaanane ke liye ki itana zyaada bill kyon aaya, unhon nay ghar kay sab logon ko bulaaya.

Pita ji: yeh to had ho gayi. itana zyaadaa bill?
Main to kabhi ghar ka phone istemaal hee nahin kartaa, saari baaten office kay phone say kartaa hoon.

Maa: main bhee hamesha office ka hee phone use kartee hoon. Friends kay saath itnee saaree baaten ghar kay phone say karoongee to kaisay chalega.

Betaa: Pita jee - aap ko to pataa hee hai ki main subah saat bajay ghar say office ke liye nikal jaata hoon. 
Mujhe jis say baat karnee hotee hai office kay phone say hee karta hoon.

Betee: Meree company nay meri desk par bhee phone diya huaa hai - main to saaree calls usee say kartee hoon. 

"phir ye ghar kay phone ka bill itnaa zyaada kaise aaya "? pita nay poochha. 

Ghar kee naukaraani chup chaap khadee sab kee baaten sun rahee thee. 
Sabakee prashn bharee nigaahain ab usee kee oar uth gayin ....

Vo bolee: “aap sab bhee to jahaan par kaam kartay hain, vaheen ka phone istemaal kartay hain 
           Mainay bhee vahee kiya to kya galat kiyaa ?”

         ~~~~       ~~~~       ~~~~      ~~~~ 

            Jo hum svayam kartay hain, vo hamen buraa nahin lagtaa 
            Lekin vahee kaam koee aur karay to...... ?



5 comments:

रहिमन ओछे नरन स्यों वैर भला न प्रीत

                रहिमन ओछे नरन स्यों वैर भला न प्रीत                 काटे चाटे स्वान के दोउ भांति विपरीत रहीम कहते हैं कि ओछे लोगों से न वैर ...