Saturday, November 11, 2017

Sabhi Apnay Begaanay Chhoot Jaatay Hain

Ik ik kar kay  dost puraanay  chhoot  jaatay  hain
Ek din sab apnay begaanay chhoot jaatay hain

Sajaayaa tha kabhi jin ko baday armaan say yaaro
Jinhen samjhay thay apna vo thikaanay chhoot jaatay hain

Jinhen manzil ki chaahat hai, nazar manzil pay rakhtay hain
Nazar me gar nazaaray hon - nishaanay chhoot jaatay hain

Pad jaati hain jab duniya ki  jimmedaariyaan sar pay 
to bachapan kay sabhi sapnay suhaanay chhoot jaatay hain

Hai jin ko naaz jism-o-jaan, ya daulat pay, unhen keh do 
ki saansen rooth jaati hain - khazaanay chhoot jaatay hain

Saaqi ki badaulat hee to hain aabaad maikhaanay
Na-meharbaan ho gar saaqi, maikhaanay chhoot jaatay hain

Kheenchay to hain dil ko hasraton kay jaam magar 'Rajan'
Na gar ho tishnagi dil me - paimaanay chhoot jaatay hain

                             'Rajan Sachdeva'
                              (November 11, 2017 2:30 AM)

Tishnagi  -------  Thirst, desire 

No comments:

Post a Comment

A Practical Example of Injustice

A Beautiful Motivational Video:  A Teacher’s Practical Example of Injustice If we do not stand up for others today,        No one will stan...