Rait pay ik ghar banaa lenaa aqalmandi nahin
Hasad me khud ko jalaa lenaa aqalmandi nahin
Sair beshaq keejiye is duniya kay bazar kee
Lekin is say dil lagaa lenaa aqalmandi nahin
Ek din to chhod kay sab ko chalay janaa hai par
Aaj hee doori bana lenaa aqalmandi nahin
Doosron ko aasmaano par chadhaanay kay liye
Apni hasarat ko mitaa lenaa aqalmandi nahin
Ud rahay ik aur pakshi ko pakadnay ke liye
Haath me jo hai ganvaa lena Aqalmandi nahin
Baantnay say Gyaan apna kam nahin hota kabhi
Ilm ko paakar chhupaa lenaa aqalmandi nahin
Char din ki zindagi mein khaamkhaa hee dosto
Har kisi ki bad-dua lena Aqalmandi nahin
Maazi ko to hum badal saktay nahin 'Rajan' magar
Is samay ko bhi ganvaa lenaa aqalmandi nahin
" Rajan Sachdeva "
Aqalmandi = Wisdom
Rait = Sand
Hasad = Jealousey. Envy
Maazi = Past
Vartmaan = Present
Beautiful words of wisdom Ji
ReplyDeleteYe unchi avastha bani rahe🙏
ReplyDelete