Dar-ba-dar jo thay vo gulzaaron kay maalik ho gaye
Jo thay kal darbaan- darbaaron kay maalik ho gaye
Shabd goongay ho gaye - insaaf andha ho gaya
Saray mukhbir aaj akhbaaron kay maalik ho gaye
Dekhtay hee dekhtay badal gayi saari fiza
Jo bikaaoo thay vo bazaron kay maalik ho gaye
Jo thay vafadaar un kay sar to kalam ho gaye
Aur sab gaddaar dastaaron kay maalik ho gaye
Darbaan = Gatekeeper
Mukhbir = Spy
Dastaar = Pagadi, Turban, a title or symbol of respect & authority
No comments:
Post a Comment