Jeevan-Yaatra
Neer barsaa kabhee ya dharaa jaltee rahee
Barf girtee rahee aur pighaltee rahee
Paat jhadtay rahay - kalee khiltee rahee
Mausam badalta rahaa - Umar dhaltee rahee!!
Kabhee hanstay rahay, kabhee rotay rahay
Kabhee jaagaa kiye kabhee sotay rahay
Dil dhadaktaa rahaa saans chaltee rahee
Vaqt katataa rahaa - Umar dhaltee rahee!!
Kuchh kitaaben padheen - gyaan charchaa suni
Chitt nay dhaarnaon kee chaadar bunee
Koyi mitatee rahee, koyi paltee rahee
Gyaan miltaa rahaa - Umar dhaltee rahee!!
Mein tasveer apnee banaataa rahaa
Aaeena kuchh aur hee dikhaataa rahaa
Pratishthaa kee ichhaa panaptee rahi
Aham badhtaa rahaa - Umar dhaltee rahee!!
Nazar ghatnay lagee, baal paknay lagay
Jism thaknay lagaa, daant girnay lagay
Kaamnaa phir bhi man mein machalti rahi
Chitt chaltaa rahaa - Umar dhaltee rahee!!
Khoyaa hai kya humnay paayaa hai kya
Kya todaa hai 'Rajan' banaayaa hai kya
Ye chintaa hameshaa hee khaltee rahi
Man bhataktaa rahaa - Umar dhaltee rahee!!
" Rajan Sachdeva "

Beautiful .... Thanks for sharing Ratan ji 👍
ReplyDelete