Chehron Ki Itni Fikar Kyon Hai?
Rangon Ki Itni Qadar Kyon Hai?
Husn Asal Kirdaar Ka Hai
Gora Kaalay Say Behtar Kyon Hai?
Hasrat Ko Kaisay Samjhaaun
Itni Chhoti Chaadar Kyon Hai?
Neeyat Ka Dosh Hi Sara Hai
To phir Badnaam Nazar Kyon Hai?
Sab Ek Khuda Kay Bachay Hain
To phir Masjid-Mandir Kyon Hai?
Wo Bhi To Bus Ek Insan Hai
Uskay Sajday Mein Sar Kyon Hai?
Sab Mil Kay Saath Nahin Rehtay
Itnay Chhotay Ab Ghar Kyon Hai?
Jin ki Jaiben Hi Khaali Hain
Unko Rahzan Say Dar Kyon Hai?
Ye Fikar Bahut Hai Duniya Ko
‘Alfaaz’ Itna Be-Fikar Kyon Ha
By: 'Alfaaz'
Fikar = Concern, Anxiety
Qadar = Dignity, Honor, Merit, Value
Kirdaar = Character
Hasrat = Desire
Neeyat = Intention, Purpose
Rahzan = A Robber
Be-Fikar = Careless
Rangon Ki Itni Qadar Kyon Hai?
Husn Asal Kirdaar Ka Hai
Gora Kaalay Say Behtar Kyon Hai?
Hasrat Ko Kaisay Samjhaaun
Itni Chhoti Chaadar Kyon Hai?
Neeyat Ka Dosh Hi Sara Hai
To phir Badnaam Nazar Kyon Hai?
Sab Ek Khuda Kay Bachay Hain
To phir Masjid-Mandir Kyon Hai?
Wo Bhi To Bus Ek Insan Hai
Uskay Sajday Mein Sar Kyon Hai?
Sab Mil Kay Saath Nahin Rehtay
Itnay Chhotay Ab Ghar Kyon Hai?
Jin ki Jaiben Hi Khaali Hain
Unko Rahzan Say Dar Kyon Hai?
Ye Fikar Bahut Hai Duniya Ko
‘Alfaaz’ Itna Be-Fikar Kyon Ha
By: 'Alfaaz'
Fikar = Concern, Anxiety
Qadar = Dignity, Honor, Merit, Value
Kirdaar = Character
Hasrat = Desire
Neeyat = Intention, Purpose
Rahzan = A Robber
Be-Fikar = Careless
No comments:
Post a Comment