Qatraa hoon - Samandar ke lehaje me baat kartaa hoon
Khudaaya reaham kar, main bad-gumaan hone se dartaa hoon
Bakhoobi jaantaa hoon yoon to sab kamzoriyaan apni
Magar ye kya- ki phir paakeezgi ka dam bhi bhartaa hoon
Yoon to jaane - pehchaane hi hain ye raastay meray
Magar har baar usi muqaam pay aa kar phisaltaa hoon
Mujhay maaloom hai duniya to maati ka khilona hai
Magar phir bhi isay paanay ki khatir kyon machaltaa hoon
Ye meri bad-naseebi hai ya be-parvaayi hai 'Rajan'
ki jo na chaahiye karnaa vahi main kar guzartaa hoon
'Rajan Sachdeva'
bahut hi khoob likha aapne
ReplyDeleteDhan Nirankar ji
-Ravinder