Friday, December 18, 2015

Hayaat - Sirf Behare Haadsaat hi to hai

Ye Hayaat Faqat behar-e-Haadsaat hi to hai 
Aur Maut  Gham-e Zeest se Nijaat hi to hai 

Behtay hain aankh se agar aansu to behnay day
Baadal say ho ya aankh say barsaat hee to hai 

Maayus hai kyon ae dil-e-be-sabar is qadar
Aakhir guzar hee jaayegi ye raat hi to hai 

Jaisee guzar rahi hai zindagi guzaar lo 
Socho zaraa ye chaar din ki baat hi to hai 

Na dekh kisi ghareeb ko nafarat ki aankh say
Vo bhi to aakhir aadmi ki zaat hi to hai

Vo hai agar ghareeb to uska hai kya qasoor
Vo zair-e-baar-e-gardish-e-halaat hi to hai 

Qudrat nay bakhshi hai agar 'Rajan' ye zindagi
To maut bhi qudrat kee ik saugaat hee to hai 
                                           'Rajan Sachdeva'
                                                      December 17, 2015  
                                       (On the death of an old acquaintance) 

Hayaat : Life 
Behare-Haadsaat : Flow of continuous Incidents, like a river
Gham-e Zeest: Pains and Sufferings of life
Nijaat : Release. to be relieved, Riddance, Freedom,
Maayus : Sad, Discouraged
Zair-e-baar-e-gardish-e-halaat : Downtrodden, suppressed by circumstances, under the weight of unfavorable circumstances
Qudrat : Nature
Saugaat : Gift

4 comments:

  1. बहुत ख़ूब राजनजी. क्या बात कही है. .....सच्चू

    ReplyDelete
  2. Took some time to understand but once known, understood finally the real meanings. Thank you ji. Prem​

    ReplyDelete
  3. Dekhne waale ki nazar par nirbhar karta hai. Jab aap jaise mahatma yeh samjha dete hain to yeh saugaat lagne lagti hai warna insaan to janam se le kar maut tak rota hi rota hai.

    ReplyDelete

Jo Bhajay Hari ko Sada जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा

जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा  Jo Bhajay Hari ko Sada Soyi Param Pad Payega