To the Satguru
Teri Aarzoo - Teri Justajoo
Kabhi Kabhi main tanahaa baitha
Teri tasveer nihaartaa hoon
Man hi man pukaartaa hoon
Tujhe dil me utaarta hoon
Tera har rang -
har roop nihaartaa hoon
Teri baaten vichaartaa hoon
Aur dil me uthati hai ye aarzoo
ki tera saath mil jaaye
Tere saath meri zindagi ki shaam dhal jaaye
Tere saath baithun - tere saath khaaun
Jahaan bhi tu jaaye, tere saath jaaun
Tere sang chaloon, tere sang hansoon
Chhod apna des, tere sang basoon
Tere saath Ghoomun - Tere qadam choomun
Dekhun teri soorat, teri muskuraahat
Suntaa rahoon tere qadmon ki aahat
Rakhvaa loon apane sar pay
pakad kay teraa haath
Khichvaa loon sainkdon hi main photo tere saath
Magar phir khyaal aata hai
ki ye sab kuchh paakar bhi
Kya mai tujhko paa loonga ?
Nahin ......
Kyonki tu ye sab to nahin hai
Ye baaten jism ki baaten hain
Aur tu jism to nahin hai
Aur agar kahin aesa bhi ho ......
ki Tu bhi karay mujhko kabhi yaad
Karni na paday mujhay kabhi koi faryaad
Khud hi tu lay ke chalay mujhko apanay saath
Rakh day kabhi pyaar say kandhe pay meray haath
Kabhi muskura kay tu bulaa lay apnay paas
Honay na paaye kabhi judaayi ka aehsaas
Teri baaton me kabhi - Mera bhi zikar ho
Mai kaisa hoon, kahaan hoon - Tujhko ye fikar ho
Poochh lay kisi say tu mera bhi kabhi haal
Teray bhi zehan me kabhi ho meraa khyaal ......
Magar phir sochtaa hoon -
ki ye sab kuchh ho bhi jaaye agar
To kya Tu mera - aur mai tera ho jaaunga?
Shayed nahin .......
Kyonki tu ye sab bhi to nahin hai
Ye baaten jismo-dil ki baaten hain
magar tu - jismo-dil bhi to nahin hai
Aur ye sab kuchh honay par bhi
Aarzooen, Tamanaayen - Meri hasraten
Kabhi pyaar ka aehsaas - kabhi nafraten
Dilo-dimaagh me chhaai huyi qadoorten
Hasad ki aag me jalti huyi vo pinahaa soorten
Khatm ho jaayengi kya?
Mit jaayengi kya ?
Ye be-sabari, ye maghroori khatm ho paayegi kya ?
Aur meri hasti teri hasti me mil jaayegi kya ?
Mujhe yaad hai ki tunay kabhi kahaa tha
"Tu kisko dhoondtaa hai ?
Kiski hai justajoo?
Tu mujh me hai - main tujh me hoon
Tu mai hai - aur Main hoon tu"
Aur agar ye sach hai -
to mujhe teri justajoo kyon hain?
Agar hum ek hain - to dekhnay me do kyon hain?
Saath hote huye bhi tu mujhe lagataa door hai
Ye meri aakhon ka hai qasoor?
Ya dil ka qasoor hai ?
Magar jab gaur se dekha - to raaz ye khulaa
Aur Haqeeqat ka aakhir - pataa ye chalaa
Ki qasoor kisi ka nahin -
Mai khud hi kho gayaa tha
Gafalat ke neend may hee, be-khabar so gayaa tha
Ye raasta bhi maine Khud hi to chunaa tha
Ye jaal hasraton ka - Khud hi to bunaa tha
Jo divaaren banaayin thin hifaazat ki khaatir
Unhi me reh gyaa tha mai qaid ho ke aakhir
Isiliye to khatm na ho paayi justajoo
Na poori ho saki tujhe paane ki aarzoo
Haan .....
Magar ye hasarat poori ho to sakti hai
Zehaanat ki qaid se Rihaayi ho to sakti hai
Teri hasti me meri hasti - kho to sakti hai
Meri zaat, teri zaat say - ik ho to sakti hai
Magar na jaane ye sab kab hoga?
Kabhi hoga bhi - ya nahin hoga
Par main jaanata hoon khatm ho sakti hai justajoo
Agar vo yaad rahe mujhko teri pehali guftagoo
Jab tune ye kahaa tha .......
"Tu mujh me hai main tujh me hoon
Tu mai hai - aur - Main hoon tu "
Jismon ki qaid say - jab oopar uth jaata hoon me
Tab teri is baat ka matlab samajh paata hoon me
Aur tab achaanak hi mujhe
yoon mehsoos hota hai
ki mai tujh me hoon - Tu mujh me hai
Tu sab me hai - sab tujh me hai
Sab Tu hi hai - Sab Tu hi hai
Sab Tu hi hai - Bus Tu hi hai
'Rajan Sachdeva'
12/12/2015
Justaju ..... Search
Tanhaa ...... Alone
Hasaraten ........ Desires
Qadoorten ...... Animosities
Hasad ............... Jealousy
Pinhaa .......... Hidden
Maghroori ........ Ego
Zehaanat ..... Thoughts / Ideology
Zaat .............. Pesonality / Being
Guftagoo .... Conversation
Note:
The theme of this poem was inspired from a poem written by Dr. Jagdish Sachdeva, Michigan