Kya aasaan hai duniya me aur mushkil kya hai?
Har ek shakhs pareshaan saa nazar aata hai
Ghame-jahaan me aakhir raahte-dil kya hai?
Na huyin khwaahishen poori to itna ranj kyon
Jahaan me sab hai adhoora yahaan muqammal kya hai?
Khushi aur gham ka majmoo'aa hai zindagi magar
Vo jo rehtaa hai ik saar musalsal kya hai?
Ye na socho ki kyaa khoyengay aur paayengay kya
Sawaal to ye hai 'Rajan' ki mustaqil kya hai?
" Rajan Sachdeva "
Meanings:
Haal = Present
Maazi = Past
Mustaqbil = Future
Raahte-dil = Consolence, Solace, Comfort
Muqamaal = Complete, whole, Absolute
Majmooaa = Combination, Blend, Mixture
Ik Saar = Uniform, In the same state, Equanimous, unchanged
Musalsal = Continuously, Constantly, Consistently
Rehtaa hai ik saar musalsal kya hai? = Aatma, Soul, Consiouxness
Mustaqil = Permanent, Unending, Unchanging, Endless, Perpetual
- Mustaqil kya hai = Almighty Supreme Lord
No comments:
Post a Comment