Saturday, August 29, 2020

Ru-b-Ru un say baat honay lagee

Ru-ba-Ru un say baat honay lagee
Khoob soorat hayaat honay lagee 

Jab say 'Tu Tu'  ka jaam peeya hai 
Meri main main ki maat honay lagee 

Mit gaye  farq  teray - meray  kay
Ek ab apni zaat honay lagee 

Jab say tasleem ka hunar seekha       (Acceptance)
Khushnuma  qaayanaat honay lagee 

Jab tavaqqo hi na rahee koyi            (Expectations)
Gam say 'Rajan' najaat honay lagee 
                     ' Rajan Sachdeva '

Behar: Meter (Tune) Tu nahin Gham nahin shraab nahin (Sung by Jagjeet Singh)

2 comments:

झूठों का है दबदबा - Jhoothon ka hai dabdabaa

अंधे चश्मदीद गवाह - बहरे सुनें दलील झूठों का है दबदबा - सच्चे होत ज़लील Andhay chashmdeed gavaah - Behray sunen daleel Jhoothon ka hai dabdab...