Kahaan par bolnaa hai aur kahaan par bol jaatay hain
Jahaan khaamosh rehnaa hai vahaan munh khol jaatay hain
Kataa jab sheesh sainik ka to hum khaamosh rehtay hain
Kataa ek scene picture ka to saaray bol jaatay hain
Kursee mulk khaa jaye to koyi kuchh nahin kehtaa
Magar rotee kee choree ho to saare bol jaatay hain
Gareebon kay gharon kee betiyaan ab tak kunvaari hain
ki rishtaa kaisay hoga jab ki gehnay bol jaatay hain
Nayi naslon kay ye bachay zamaanay bhar kee suntay hain
Magar maan baap kuchh bolen to bachay bol jaatay hain
Bahut oonchi dukaanon mein kataatay jaib sab apnee
Magar mazdoor maangega to sikkay bol jaatay hain
Agar makhmal karay galtee to koyi kuchh nahin kehtaa
Phatee chaadar kee galtee ho to saaray bol jaatay hain
Hawaaon kee tabaahi ko sabhee chup chaap sehtay hain
Chiraagon say huyi galtee to saare bol jaatay hain
Banaatay phirtay hain rishtay zamaanay bhar say aqsar hum
Magar ghar mein zaroorat ho to rishtay bol jaatay hain

✍ Writer unknown ✍

No comments:
Post a Comment