Wednesday, January 14, 2026

Chup rehna nahin aata (Why can't I stay silent)

Na jaanay kyon mujhay mehfil mein chup rehna nahin aata
Zamaanay kay ishaaron par mujhay chalnaa nahin aata

Sachaayi ko banaavat kay bina kehnay ki aadat hai
Dubo kay chaashni mein baat ko kehna nahin aata 

Pahaadon jaisay duhkh bhee jheltay kuchh log dekhay hain
Magar thodaa sa duhkh Ya'Rab mujhay sehnaa nahin aata

Unhen dekho jinhen do vaqt khaana bhee nahin milta
Hamen sab kuchh mila hai par shukar karna nahin aata

Hamen bhee shaan-o-shoharat mil to saktai thi zamanay mein
Usoolon say magar 'Rajan' hamen girna nahin aata
                               " Rajan Sachdeva "

Chaashni        = Sugarcoat
Ya'Rab           = O Lord 

4 comments:

Chup rehna nahin aata (Why can't I stay silent)

Na jaanay kyon mujhay mehfil mein chup rehna nahin aata Zamaanay kay ishaaron par mujhay chalnaa nahin aata Sachaayi ko banaavat kay bina ke...