Aakhir aana hi padega Raat ko zameen par
Kab talak udogay ae parindo aasmaan may
Hasti ke faraib may na- ulajh ke reh jaana kahin
Zindagi hai chaar din ki ye bhi rahe dhyaan may
Zindagi purnoor hogi, Hasti nikhar jaayegi
Seekh lain agarche rehanaa aalame-vajdaan may
Sochatay to hain ki paar ho hi jayenge magar
Doobati dekhi hain kashtiyaan kayi tufaan may
Ek din vo bhi karenge mere hunar ki qadar
Kat gayi tamaam zindagi isi imkaan may
Mil jaaye to theek hai duniya me izzat, shoharat
Kho na dena zindagi lekin isi armaan may
Ye phool naseehat ke zindagi me kaam aayenge
Rakh ne dena yoon hi sajaa ke inhen guldaan may
Daulat bhi duniya me zaroori to hai 'Rajan' magar
Milegaa Sakoon Sabar, Sidaq aur imaan may
'Rajan Sachdeva'

Ae Parindo ......... O' Birds
Faraib … Illusion, falsehood
Hasti ..... Physical form, appearance, personality
Faraib -Hasti ..... Falsehood of the physical body, illusion of personality
Purnoor ..... Bright
Aalam ae ... World of
Vajdaan ... Spiritual intellect, Enlightenment, Gyana
Hunar …… Talent
Imkaan ......... Hope, Possibility
Shoharat ........ Fame
Armaan ......... Desire
Naseehat....... .. Advice
Guldaan ......... Vase
Sakoon ........... Peace of mind
Sakoon ........... Peace of mind
Sabar ..... Contentment
Sidaq ...... Honesty, patience, truthfulness
Imaan .... Faith
Namsate Rajanji,
ReplyDeleteThis is a truly beautifully written poem/ghazal! I really appreciate that you add the list of meanings of urdu words at the end. Please keep them coming!
-Mandar Purekar