Raastay nahin hain dil lagaanay kay liye
Raastay hain manzilon ko paanay kay liye
Vo to detee hai sabhee ko yaksaan raushnee
Jaltee nahin shamaa siraf parvaanay kay liye
Kaagaz kee kashti banaa kay hum nay ek roz
Chhod dee dariyaa mein aazmaanay kay liye
Afsos, ronay-dhonay mein hee cut gayi saari
Zindgee thee hansnay aur hansaanay kay liye
Zabaran lay aatay hain lub pay pheeki see muskaan
Dard-e-dil ko auron say chhupaanay kay liye
Na jaanay kitnaa vaqt abhee aur lagega
Man kay uljhay dhaagon ko suljhaanay kay liye
Baaten - jo khud bhee samajh na paaye aaj tak
Kehtay rahay vo auron ko samjhaanay kay liye
Baaten sachaai kee - dayaa aur dharm kee
Reh gayi hain sunanay aur sunaanay kay liye
Socho zaraa parindo ki patjhad agar na ho
Tinkay kahaan milengay aashiyaanay kay liye
Sukoot-e-rooh, shamm-e-daanayi, husn-e-mauseeqi
Kuchh to karo mehfilen sajaanay kay liye
Kitnay saamaan hum nay jamaa kar liye 'Rajan'
Ik dil-e-besabar ko behlaanay kay liye
' Rajan Sachdeva '
Yaksaan Same, Similar, Equal
Zabaran Forcefully
Sukoot-e-Rooh Silencing of Mind, Quietness, Peace
Shamm-e-Daanayi Candle of wisdom, intelligence, enlightenment
Husn-e-Mauseeqi Beauty of Music

No comments:
Post a Comment