Na Pehale sa voh Shauq hai, Na josh hai Kirdaar me
Kirdaar Action
Guftaar Speech
Izhaar Communication / Presentation of thoughts
Jazbaa Zeal
Akhtiyaar Control
Khudgarziyaan Selfishness
Taqraar Arguemnets
Iqraar promise
Aghyaar Others, unknown
M'aarfat Spirituality
Inqsaar Humility
ishtehaar Publicity
Zauq Zeal
Israar Determination
Ishtekaar Complaints
Afqaar Worries
Iftekhaar Pride
Masrrof Busy
Afgaar Injured
Aazaar Trouble
Ayyar Cunning
Salaahiyat Qualities / virtues
Anfaar Masses / People
Atwwar Traditions , Mannersim
Meharam Well-wisher, Sympathetic
Adwaar Time / date
Haale zaar In trouble
Jazba-e-dil Feelings / emotions of the heart
Gumshudaa Missing / lost
Pindaar Ego / Pride
Rivaayaten Tradions
Ikhtesaar in Brief
Nafaasten Goodness
Fitarat Nature
Sadaaqaten Truthfulness
Zubaan me vo taaqat rahi na dam rahaa Ghuftaar me
Na pehale si vo soch hai na Lutf hai izhaar me
Na pehale sa jazbaa raha, na dil hai akhtiyaar me
Badal gayi hain neeyaten - Khud-gharziaan hain pyaar me
Seekhane ki chaah nahin, uljhe hain sab Taqraar me
Baaton me oonchay phalsaphe par dam nahin iqraar me
Farq nahin dikhtaa koi apanon me aur aghyaar me
Na maarfat ki lagan hai, na dil hai Inksaar me
Chaahte hain log bus tasveer apani akhbaar me
lagataa hai vo such - jo likha ho ishtehaar me
Isiliye to jhoot bhi bik jaata hai bazaar me
Na zauq hai na shauq hai na dam hai kuchh israar me
Be-vajah rehta hai dil har vaqt ishtekaar me
Na sabar hai na shukar hai din raat hai afqaar me
Maghroor hai har shakhs apane hunar ke iftekhaar me
Masroof hai har koi dekho apane kaarobaar me
Kisko fursat hai ki dekhe - kisi dile afgaar me
Uljhaa hai har aadami bus Ghame rozgaar me
Kise fiqar ? kya ho raha hai aaj is sansaar me
Kaun chaahta hai ulajhanaa kisi aazaar me
Maasoom phanste jaa rahe hain phanda-e- ayaar me
Na pehale si salaahiyat hi ab rahi anfaar me
Kitani hain tabdeeliyaan ab rasmon me, atwaar me
Gaate the naghme kabhi talb-e-visaale yaar me
Shauq hai nukmaayashon ka aaj ke funkaar me
Mehram nahin hai koi kisi ka aaj ke adwaar me
Kaun poochtaa hai doston ko haale zaar me
Jazbaa-e-dil gumshuda hai aql ke pindaar me
Badal gayi rivaayaten M'aarfat ke kaarobaar me
Baat bus itani si hai gar keh doon ikhtesaar me
Ruhaaniyat bhi dhalti jaa rahi hai ab vyopaar me
Jo bhi kehanaa tha vo keh daala hai in ash'aar me
Ab yahi duaa hai 'Rajan' dargaahe-Sarkaar me
Nazar me hon nafaasten, zubaan ziqre yaar me
Fitarat me hon sadaaqaten, yaqeen Parvardigaar me
Baqalam: 'Rajan Sachdeva'
Kirdaar Action
Guftaar Speech
Izhaar Communication / Presentation of thoughts
Jazbaa Zeal
Akhtiyaar Control
Khudgarziyaan Selfishness
Taqraar Arguemnets
Iqraar promise
Aghyaar Others, unknown
M'aarfat Spirituality
Inqsaar Humility
ishtehaar Publicity
Zauq Zeal
Israar Determination
Ishtekaar Complaints
Afqaar Worries
Iftekhaar Pride
Masrrof Busy
Afgaar Injured
Aazaar Trouble
Ayyar Cunning
Salaahiyat Qualities / virtues
Anfaar Masses / People
Atwwar Traditions , Mannersim
Meharam Well-wisher, Sympathetic
Adwaar Time / date
Haale zaar In trouble
Jazba-e-dil Feelings / emotions of the heart
Gumshudaa Missing / lost
Pindaar Ego / Pride
Rivaayaten Tradions
Ikhtesaar in Brief
Nafaasten Goodness
Fitarat Nature
Sadaaqaten Truthfulness
Baqalam Written by (From the pen of)
This is amazing
ReplyDeleteI read it and it was a pleasure
Thanks