You will be lost and finished if you abandon your cultural inheritance, legacy, and heritage.
~~ ~~ ~~ ~~ ~~ ~~
Apnay markaz say agar door nikal jaaogay
khwaab ho jaaogay, afsaanon mein dhal jaaogay
Ab to chehron kay khad-o-khaal bhi pehlay say nahin
Kis ko maaloom tha tum itnay badal jaaogay
Apnay parcham ka kaheen rang bhulaa mat dena
Surkh sholon say jo khelogay to jal jaaogay
Day rahay hain tumhen jo log rifaaqat ka faraib
Un kee taareekh padhogay to dehal jaaogay
Apnee mittee hee pay chalnay ka saleeqa seekho
Sang-e-marmar pay chalogay to phisal jaaogay
Khwaab-gaahon say nikaltay huye dartay kyun ho
Dhoop itnee to nahin hai ki pighal jaaogay
Taiz qadmon say chalo aur tasaadum say bacho
Bheed mein sust chalogay to kuchal jaaogay
Ham-safar dhoondo na rahbar ka sahaara chaaho
Thokren khaaogay to khud hee sambhal jaaogay
Tum ho ik zinda-e-javaid rivaayat kay chiraag
Tum koyi shaam ka sooraj ho ki dhal jaaogay?
Subah-e-saadiq mujhay matloob hai kis say maangoon
Tum to bholay ho chiraagon say behal jaaogay
Poet: Iqbal Azeem

Markaz = The center
Khad-o-khaal = Features, shape, physique
Parcham = Flag
Rifaaqat ka faraib = Deceit, Deception of Friendship or companionship
Taareekh = History
Khwaab-gaahon = Dreamland, a world of dreams
Tasaadum = Clash, Collision, Conflict
Zinda-e-javaid = Immortal, Alive forever
Rivaayat = Traditions
Subah-e-Saadiq = True, meaningful morning
Matloob = Desired, Required
No comments:
Post a Comment