Ae dost zindagi me kabhi ye bhi kar ke dekh
Dushmano ki jholi me bhi phool bhar ke dekh
Miltay nahin hain moti Kinaare pe baith kar
Paana hai kuchh to Samander me utar ke dekh
Raah me qudarat ke nazaare thehar ke dekh
Rang badaltay huye Shaamo-sehar ke dekh
Mausame Gul me kabhi kaliyon ko khiltay dekh
Husne-maahtaab kabhi, jalave abar ke dekh
Seekhay koi in se toofaano me sambhalnaa
Doob ki haleemi, hausalay shajar ke dekh
Maayuus na ho is qadar kaanton ko dekh kar
Khiltay huye ye phool bhi to rahguzar ke dekh
Manzil bhi Mil jaayegi tu be-sabar na ho
Ae Dil zaraa abhi to nazaare safar ke dekh
Ae Dil zaraa abhi to nazaare safar ke dekh
Vaqt se pehale to kabhi kuchh nahin miltaa
Chhod de shikaayatein aur sabar kar ke dekh
Meri soch bhi to vo pehale si ab nahin
Log bhi vaise nahin ab is shehar ke, dekh
Raaze-dil khultaa nahin chehare ko dekh kar
Kya chhupa hai peechhe zaraa chashme-tar ke dekh
Rakhtaa hai auron ke to har kaam par nazar
Apane Dil me bhi to kabhi tu utar ke dekh
Doosron ki galtiyaan hai dekhna aasaan
Ae dile-naadaan, hunar har bashar ke dekh
Duniya sudhaarne ki fiqar yaara chhod de
Duniya sudhar jayegi, tu khud sudhar ke dekh
Pahunchnaa manzil pe tab ho jaayega aasaan
Chal ke zara saath kisi Raahbar ke dekh
Aayega nazar Khudaa phir apane ander hee
Dil ka aainaa zaraa tu saaf kar ke dekh
Madhoshi me milta hai - sakoon kis qadar
Ye zaraa tu hosh ki had se guzar ke dekh
Achhaa tha Jahaane-rango-boo ka ye safar
Raaste ‘Rajan’ tu ab agalay safar ke dekh
By: Rajan Sachdeva
Written on June 30, 2015
Meaning of some words
Shamo-sehar -- dusk and dawn
Maahtaab -- Moon
Abar --- Clouds
Doob ---- Grass
Haleemi ---- Humility
Hausalay-----Courage
Shajar ----- Trees
Maayus ----- Sad, disheartened
Chashme-tar --- Wet eyes
Jahaane-rango-boo ---- World of colors and fragrance (the physical world)
No comments:
Post a Comment