Wednesday, February 24, 2016

Meri Naiyya Paar Lagaa Dena


Hey Naath meri naiyya tum paar lagaa dena
Ab tak to nibhaayi hai, aage bhi nibhaa dena 

Kahin bheed me duniya ki, main kho bhi agar jaaun 
Jab door kabhi tum se,  main ho bhi agar jaaun 
Hey Naath dayaa kar ke Tum mujhko bulaa lena 
Hey Naath meri naiyya tum paar lagaa dena


Moh ki zanjeeron me, main bandh bhi agar jaaun
Maaya ki daldal me, main phans bhi agar jaaun 
Hey Naath dayaa kar ke tum mujhko bachaa lena
Hey Naath meri naiyya tum paar lagaa dena

Kabhi apanay farzon se, main chook agar jaaun 
Kabhi galatee se tum ko, main bhool agar jaaun
Hey Naath kahin tum bhi, mujhko na bhulaa dena
Hey Naath meri naiyya tum paar lagaa dena

Tum hi ho meri duniya, Tum hi ho meri zindagi
Tum hi ho meri pooja,  Tum hi ho meri bandagi
'Rajan' ki yehi iltejaa, meri tod nibhaa dena 
Hey Naath meri naiyya tum paar lagaa dena

(Tarz: Sau baar janam lenge, sau baar fanaa honge
  Ae jaane vafaa phir bhi, hum tum na judaa honge)


Note : I remember hearing the first two lines of this geet somewhere a long time ago, and they really touched my heart.
The rest of the song is based upon the same theme so it's possible that some words and idea might be similar to that original song.

                              "Rajan Sachdev"


1 comment:

Jo Bhajay Hari ko Sada जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा

जो भजे हरि को सदा सोई परम पद पाएगा  Jo Bhajay Hari ko Sada Soyi Param Pad Payega