While driving back from Chicago late at night, I looked thru the window on my right side. There was a spectacular view of full moon, running across the sky at a fast pace. It seemed as if it was racing with my car.
My mind was wondering; wanting to ask the moon "Where are you going? What is your destination? What is it that you are trying to find? You have been moving night after night; for so long and still have not found your destination yet?
And a Kavita, a poem was born while wondering and pondering over these questions.
See if you like it.......
Aadat se Majboor hoon Mai
Chaand se maine poochha saari raat tu kyonkar chalta hai
Kisko milne ki khaatir tu saari Raat bhataktaa hai
Sadiyon chalne par bhi manzil na tumko mil paayi hai
is chhor se us chhor tak kyon ye daud lagaayi hai
Vo bola chaah nahin manzil ki, isi liye Purnoor hoon me
Chalnaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Maine poochha Maina se kyon meethe raag tu gaati hai
Madhur Madhur geeton se apne sab ka dil behlaati hai
Meethi vaani sun ke karte log tujhe pinjare me band
Chhodo meethe geet raho aazaad - udo Svachhand
Vo boli bus geeton me apne hi rehati masroor hoon me
Gaana meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Poochha maine jharne se kyon kal kal kal kal behtaa hai
Nirmal sheetal jal apna dharti ko arpan kartaa hai
Na jaane patali si ye dhaara kahaan talak jaa paayegi
Saagar tak pahunchegi ya phir mitti me mil jayegi
Vo bola girate jal ki meethi kal kal me makhmoor hoon me
Behnaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Maine poochha shamma se tu raat raat kyon jalti hai
Raushan auron ko karne ki khaatir khud bhi jalti hai
Kaam nikal jaane pe sab upkaar bhulaa dete hain log
Sooraj jab Nikale to dekho shammaa bujhaa dete hain log
Vo boli such hai raushani ki khaatir hi mashhoor hoon me
Par jalnaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Ik din doob rahaa ik bichhu dekh ke maine uthaa liya
Lekin us bichhu ne fauran mere haath ko kaat liya
Poochha maine bichhu se ki ye kaisa anyaye hai
Usi haath ko kaate hai jo teri jaan bachaaye hai
Vo bola zehar mila qudrat se isi liye maghroor hoon me
Dasnaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Pedh se maine poochha itne zulm tu kyonkar sehtaa hai
Garmi Sardi seh kar apna sab kuchh deta rehtaa hai
Log teri chhaaya me baithen, Phal bhi tere khaate hain
Sookh jaaye to kaat tujhe vo apne ghar banvaate hain
Vo bola sadiyon se nibhaata aaya ye dastoor hoon me
Sehanaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Ik din Guru se poochha kyon tum soye log jagaate ho
Bhoole bhatke huon ko tum kyon raasta dikhlaate ho
Logon ne to kabhi kisi Rehabar ki baat na maani hai
Guruon Peeron se duniya ne dushmani hi thaani hai
Vo bole duniya kya karti hai, in baaton se door hoon me
Jagaana meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
Poochhe hain kuchh log mujhe kyon roz roz tum likhte ho
Jo kehate- vo karte ho, ya bus kehate aur likhte ho
Aajeevan vidyaarthi hoon me, Gyaan Arjan kaam mera
Peshaa hai adhyaapn aur 'Professor Rajan' naam mera
Prachaarak hoon, Updeshak hoon par karm se koson door hoon me
Kehanaa meri aadat hai aur aadat se majboor hoon me
'Rajan Sachdeva'
November 6, 2014